Mana Ki Hum Is Daur Ka Hasil To Nahin The
mana ki hum is daur ka hasil to nahin the
na-qadri-e-duniya ke bhi qabil to nahin the
aata to sahi baad-e-sahar ka koi jhonka
hum KHas kisi phul pe mail to nahin the
har shaKHs ne naqsh-e-kaf-e-pa hum ko banaya
har shaKHs ki hum rah mein hail to nahin the
do ghunT hi pi lete agar koi pilata
hum rind-e-KHush-auqat the sail to nahin the
kya baat hai 'nuri' jo hai ab lahje mein narmi
tum narmi-e-guftar ke qatil to nahin the
(870) Peoples Rate This