KHud Apne Ghar Mein Hain Is Tarah Aaj Aae Hue
KHud apne ghar mein hain is tarah aaj aae hue
ki jaise ghar mein kisi ke hon hum bulae hue
ki jaise ab koi KHurshid aa hi jaega
hain apne ghar ke andheron se lau lagae hue
KHuda kare dar-o-diwar kan rakhte hon
zamana guzra hai rudad-e-gham sunae hue
in aandhiyon mein na jaane kidhar se aa jao
main ja raha hun har ek su diya jalae hue
garan guzarti hai ab shahr ki har ek aawaz
suna rahe hain wo qisse jo hain sunae hue
ho jaise jurm-e-mohabbat mein meri nakaami
har ek se rahta hun 'nuri' nazar bachae hue
(783) Peoples Rate This