Har Chand Apna Haal Na Humse Bayan Hua
har chand apna haal na hum se bayan hua
ye harf-e-be-wajud magar dastan hua
mana ki hum pe aaj koi mehrban hua
dil kanpta hai ye bhi agar imtihan hua
jo kuchh main kah chuka hun zara us pe ghaur kar
jo kuchh bayan hua hai ba-mushkil bayan hua
ab tum ko jis KHulus ki hum se umid hai
muddat hui wo nazr-e-dil-e-dostan hua
tufan-e-zindagi mein zarurat thi jab teri
mujh ko har ek mauj pe tera guman hua
aadab-e-qaid-o-band ne badla ajib rang
kunj-e-qafas ka nam bhi ab aashiyan hua
aansu nikal paDe hain KHushi mein tere huzur
kis tamkanat ke sath ye dariya rawan hua
(668) Peoples Rate This