Hain Agar Dar-o-rasan Subh-e-munawwar Ke Ewaz
hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz
phir to KHurshid hi ubhrega mere sar ke ewaz
hum ko bhi sar koi darkar hai ab sar ke ewaz
patthar ek hum bhi chala dete hain patthar ke ewaz
farq kya paDta hai ho jae agar dad-rasi
ek nazar dekh hi lo wada-e-mahshar ke ewaz
hum ne chaha tha ki patthar hi se Thokar khaen
sar bhi ek hum ko mila rah mein patthar ke ewaz
pasbanan-e-chaman rah gae bairun-e-chaman
nargis-e-KHufta mili sarw-o-sanobar ke ewaz
ab kahan pahla sa saqi ke karam ka dastur
aabru bechni paD jati hai saghar ke ewaz
kya KHabar wo hi chale aaen saja lun ghar ko
mauj-e-gul aane lagi aaj to sarsar ke ewaz
un ke wade ki jo tasdiq bhi chahi 'nuri'
saf inkar tha taid-e-mukarrar ke ewaz
(773) Peoples Rate This