Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f9dddfe61a70858a717d982c5935beb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Haal-e-dil Maine Jo Duniya Ko Sunana Chaha - Karrar Noori Poetry In English - Darsaal

Haal-e-dil Maine Jo Duniya Ko Sunana Chaha

haal-e-dil main ne jo duniya ko sunana chaha

mujh ko har shaKHs ne dil apna dikhana chaha

apni taswir banane ke liye duniya mein

main ne har rang pe ek rang chaDhana chaha

KHak-e-dil jauhar-e-aina ke kaam aa hi gai

lakh duniya ne nigahon se girana chaha

shoala-e-barq se gulshan ko bachane ke liye

main ne har aag ko sine mein chhupana chaha

apne aibon ko chhupane ke liye duniya mein

main ne har shaKHs pe ilzam lagana chaha

ghairat-e-mauj use phenk gai sahil par

Dubne wale ne jab shor machana chaha

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal-e-dil Maine Jo Duniya Ko Sunana Chaha In English By Famous Poet Karrar Noori. Haal-e-dil Maine Jo Duniya Ko Sunana Chaha is written by Karrar Noori. Read famous Poem Haal-e-dil Maine Jo Duniya Ko Sunana Chaha for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Haal-e-dil Maine Jo Duniya Ko Sunana Chaha in PDF.