Fikr-o-izhaar Mein KHud Aane Lagi Pa-mardi
fikr-o-izhaar mein KHud aane lagi pa-mardi
bhuk ki aag ne lahje mein tamazat bhar di
kuchh to hai zist jo waqf-e-mai-o-saghar kar di
warna kis ko hai pasand apne liye bedardi
ishq-e-awara-o-badnam ne izzat rakh li
hum se be-ghar bhi kiya karte hain kucha-gardi
baat to jab hai ki tum kahne lago us ko basant
gul-o-gulzar pe jo aane lagi hai zardi
aap ke jism pe kya KHub hai mausam ka libas
hae jo alag samajhte nahin garmi-sardi
(713) Peoples Rate This