Fan Ki Aur Zat Ki Paikar Ne Sone Na Diya
fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya
dil mein jage hue fankar ne sone na diya
har taraf tapti hui dhup mere sath gai
zer-e-saya kisi diwar ne sone na diya
ek masum si surat ko kahin dekha tha
phir bhi chashman-e-gunahgar ne sone na diya
mere ham-sae mein shayad hai koi mujh jaisa
hai jo charcha kisi bimar ne sone na diya
kal mere shahr mein ek zulm kuchh aisa bhi hua
raat bhar ghairat-e-fankar ne sone na diya
jagte rahne ka aaram to kya hum ko bhi
chain se shiddat-e-afkar ne sone na diya
kal kuchh aisi hi sar-e-bazm meri baat giri
kisi pahlu mere pindar ne sone na diya
ek dhaDka sa laga tha ki sahar-dam kya ho
sar pe laTki hui talwar ne sone na diya
(853) Peoples Rate This