Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a0178e967368362c71782d96d9c9e617, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Shai Par Bhi IKHtiyar Nahin - Karan Singh Karan Poetry In English - Darsaal

Kisi Shai Par Bhi IKHtiyar Nahin

kisi shai par bhi iKHtiyar nahin

zist mein kuchh bhi paedar nahin

ye bhi hai moajiza mohabbat ka

gham kai koi gham-gusar nahin

main ne duniya nisar ki jis par

mujh pe us ko hi eatibar nahin

sare matlab ke rishte-nate hain

koi rishta bhi ustuwar nahin

har ghaDi be-qarar rahta hai

dil ko hasil kabhi qarar nahin

rahaton ka to zikr hi kya hai

gham bhi duniya mein paedar nahin

log duniya ke KHud-gharaz hain 'karan'

ye kisi ke bhi gham-gusar nahin

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Shai Par Bhi IKHtiyar Nahin In English By Famous Poet Karan Singh Karan. Kisi Shai Par Bhi IKHtiyar Nahin is written by Karan Singh Karan. Read famous Poem Kisi Shai Par Bhi IKHtiyar Nahin for youth and Student by Karan Singh Karan. Free Download Kisi Shai Par Bhi IKHtiyar Nahin in PDF.