Khoya Kya Paya Kya Hisab Na Kar
khoya kya paya kya hisab na kar
to abas waqt ko KHarab na kar
chhoD hargiz na rah-e-haq-goi
apni manzil ko yun KHarab na kar
saf rakh apna daman-e-kirdar
tu use ashkon se pur-ab na kar
gham na kar dusron pe kya guzre
tu kabhi haq se ijtinab na kar
gham bhi hain zindagi ka ek hissa
dusron ko tu intisab na kar
jo faraez hain bhul jaen 'karan'
is qadar KHud ko mahw-e-KHwab na kar
(1188) Peoples Rate This