Ki KHwab Tha Bas Tumhaara Aana
tumhaari aankhen KHushi ki KHwahish liye hui thin
tumhaari sochon mein ahd-e-mazi ki silwaTen thin
tumhaare gesu ghumarti ghirti ghaTaon ke kuchh ghanere baadal bane hue the
qadam baDhae nazar jhukae badan badan churae aa rahi thi
hawaen bhi gunguna rahi thin
kali kali muskura rahi thi
KHizan-rasida chaman mein jaise bahaar chupke se aa rahi thi
magar achanak
ye KHwab TuTa to main ne dekha
rida-e-shab pe koi sitara nahin tha baqi
jahan judai ke sare lamhe gale mile the wahan mohabbat ki mang bharne ko shabnam utri
KHizan-rasida badan-darida wo shab-gazida udas lamhe!
ajib wahshat jaga rahe the
wajud se wo adam ki duniya mein ja rahe the
ki KHwab tha bas tumhaara aana
(784) Peoples Rate This