Agar Tum Bechna Chaho
agar tum bechna chaho
adaen bhi wafaen bhi
hasin KHwabon ke rangon ki ridaen bhi
ye duniya hai
yahan aawaz bikti hai
yahan taswir bikti hai
yahan par harf ki hurmat
yahan tahrir bikti hai
ye bazar-e-jahan ek be-karan gahra samundar hai
yahan par kashtiyan sahil pe aa kar Dub jati hain
musafir mar bhi jate hain
magar raunaq nahin jati
ye insanon ka jangal hai
aur is jangal ka saman har waqt rahta hai
agar tum bechna chaho
adaen bhi wafaen bhi
hasin KHwabon ke rangon ki ridaen bhi
mere dil mein bhi ek bazar sajta hai
jahan par sham hote hi hujum-e-yas hota hai ghamon ki bhiD lagti hai
kai yusuf sar-e-bazar bikte hain agar tum bechna chaho
(977) Peoples Rate This