Jis Shajar Par Samar Nahin Hota
jis shajar par samar nahin hota
us ko patthar ka Dar nahin hota
aankh mein bhi chamak nahin hoti
jab wo pesh-e-nazar nahin hota
mai-kade mein ye ek KHubi hai
naseha tera Dar nahin hota
ab to bazar bhi hain be-raunaq
koi yusuf idhar nahin hota
jo sadaf sahilon pe rah jae
us mein koi guhar nahin hota
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hota
gham ke maron ka jo bhi maskan ho
ghar to hota hai par nahin hota
ahl-e-dil jo bhi kaam karte hain
us mein shaitan ka shar nahin hota
(724) Peoples Rate This