Insaf Jo Nadar Ke Ghar Tak Nahin Pahuncha
insaf jo nadar ke ghar tak nahin pahuncha
samjho ki abhi hath samar tak nahin pahuncha
mizhgan pe ruke hain abhi Dhalke nahin aansu
ye soch ka sailab safar tak nahin pahuncha
kuchh log abhi KHair ki KHwahish ke amin hain
dastar ka jhagDa abhi sar tak nahin pahuncha
parwaz mein tha amn ka masum parinda
sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahuncha
insan to dukh-dard ke sahraon mein gum hai
ye qafila KHushiyon ke Dagar tak nahin pahuncha
muddat se mohabbat ke safar mein hun 'karamat'
lekin abhi chahat ke nagar tak nahin pahuncha
(808) Peoples Rate This