Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2ebd20543e365c11ad64e4d3009c1ce9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Masham-e-bulubul Mein Rashk-e-gul Ki Hunuz Bu Bhi Nahin Gai Hai - Karamat Ali Shaheedi Poetry In English - Darsaal

Masham-e-bulubul Mein Rashk-e-gul Ki Hunuz Bu Bhi Nahin Gai Hai

masham-e-bulubul mein rashk-e-gul ki hunuz bu bhi nahin gai hai

abhi wo nam-e-KHuda hai ghuncha nasim chhu bhi nahin gai hai

na ishq surme ka ne misi ka na shauq ghamze ka ne hansi ka

guman ho gar tum ko aarsi ka so ru-ba-ru bhi nahin gai hai

bala ko us ki KHabar hai kahte hain kis ko mashuq kya hai aashiq

hunuz kanon mein us pari ke ye guftugu bhi nahin gai hai

yaqin nahin mujh ko qais-e-giryan ke haal se us ko aagahi ho

nikal ke matlab se apne laila kinar-e-ju bhi nahin gai hai

'shahidi' itni guman-parasti nashe mein sab bhul baiThe hasti

hui hai us se hi tum ko masti jo ta-gulu bhi nahin gai hai

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masham-e-bulubul Mein Rashk-e-gul Ki Hunuz Bu Bhi Nahin Gai Hai In English By Famous Poet Karamat Ali Shaheedi. Masham-e-bulubul Mein Rashk-e-gul Ki Hunuz Bu Bhi Nahin Gai Hai is written by Karamat Ali Shaheedi. Read famous Poem Masham-e-bulubul Mein Rashk-e-gul Ki Hunuz Bu Bhi Nahin Gai Hai for youth and Student by Karamat Ali Shaheedi. Free Download Masham-e-bulubul Mein Rashk-e-gul Ki Hunuz Bu Bhi Nahin Gai Hai in PDF.