Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_668e97497c8d3294c6b7c76572760eee, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Manzil Safar-e-ishq Ki Zinhaar Na TuTe - Karamat Ali Shaheedi Poetry In English - Darsaal

Manzil Safar-e-ishq Ki Zinhaar Na TuTe

manzil safar-e-ishq ki zinhaar na TuTe

jab tak kamar-e-qafila-e-salar na TuTe

is pand se dil naseh-e-din-dar na TuTe

but toDne mein kabe ki diwar na TuTe

be-fikr rahe banda-e-naqab-e-ruKH-e-jaanan

hum se kabhi qufl-e-dar-e-gulzar na TuTe

jab tak na gawara ho tujhe naza ki talKHi

parhez tera ai dil-e-bimar na TuTe

har rose ho jab saikDon ushshaq ka chaurang

ai shoKH kahan tak teri talwar na TuTe

sar paTkun jo diwar se kahta hai wo zalim

bas bas mere ghar ki kahin diwar na TuTe

beja hai teri garmi-e-bazar ka shikwa

kyun jins nai pa ke KHaridar na TuTe

qismat mein ho go manzil-e-maqsad ka pahunchna

par aabla-e-pa mein sar-e-KHar na TuTe

aasan hai 'shahidi' ki agar dil-shikani ho

par shart ye hai KHatir-e-aghyar na TuTe

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil Safar-e-ishq Ki Zinhaar Na TuTe In English By Famous Poet Karamat Ali Shaheedi. Manzil Safar-e-ishq Ki Zinhaar Na TuTe is written by Karamat Ali Shaheedi. Read famous Poem Manzil Safar-e-ishq Ki Zinhaar Na TuTe for youth and Student by Karamat Ali Shaheedi. Free Download Manzil Safar-e-ishq Ki Zinhaar Na TuTe in PDF.