Hazar Martaba Dekha Sitam Judai Ka
hazar martaba dekha sitam judai ka
hanuz hausla baqi hai aashnai ka
pari uThi mere pahlu se barha nakaam
farefta hun teri tarz-e-dilrubai ka
mujhe azab-e-jahannam ki but-parast hun main
wo but bahisht mein dawa jise KHudai ka
faza-e-bagh se hai gosha-e-qafas KHush-tar
gar apne dil mein na ho daghdagha rihai ka
adab na wadi-e-wahshat ke mujh se tark hue
junun mein hosh raha hai barhana-pai ka
nigah KHanda taghaful itab kohna hue
nikal tarz naya koi dilrubai ka
buton ka sajda meri sarnawisht mein kab tha
ki azm kabe ke dar par ho jubba-sai ka
uchak raha hai khaDa baam-e-arsh par kam-baKHt
qalaq hai mujh ko 'shahidi' ki na-rasai ka
(784) Peoples Rate This