Dar-parda Sitam Hum Pe Wo Kar Jate Hain Kaise
dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise
gar kije gila saf mukar jate hain kaise
aane mein to sau tarah ki sohbat thi shab-e-wasl
dekhenge par ab uTh ke sahar jate hain kaise
ranjish ka meri pas nahin aap ko mutlaq
barham tujhe hum dekh ke Dar jate hain kaise
ghusse mein naya rang nikale hain pari-ru
jun-jun ye bigaDte hain sanwar jate hain kaise
is sahib-e-ismat ko yahi soch hai har subh
be-wajh mere baal bikhar jate hain kaise
ayyam musibat ke to kaTe nahin kaTte
din aish ke ghaDiyon mein guzar jate hain kaise
wo waqt to aane de bata denge 'shahidi'
bin aae kisi shaKHs pe mar jate hain kaise
(823) Peoples Rate This