Ye Kaun Kahta Hai Tu Halqa-e-naqab Mein Aa?
ye kaun kahta hai tu halqa-e-naqab mein aa?
shuur-e-rang-e-wafa ban ke aaftab mein aa
faza ko tu ne moattar kiya to kya hasil?
maza to jab hai ki phir lauT kar gulab mein aa
main lafz lafz mein tujh ko talash karta hun
sawal mein nahin aata na aa jawab mein aa
ghuTa ghuTa sa na rah tajrabon ke mahbas mein
sarir-e-waqt ki rahon se tu kitab mein aa
jala ke taq-e-adam mein masarraton ke charagh
tu aarzu ke chamakte hue sarab mein aa
falak ki had se pare hai teri uDan to kya?
magar kabhi kabhi dharti ke is azab mein aa
naniyat ka nasha ban ke chha na mahfil par
utarna hai to utar kar sharab-e-nab mein aa
'karamat' aaj zamana jo de raha hai dagha
zara si baat pe hargiz na iztirab mein aa
(867) Peoples Rate This