PahaD Jo KhaDa Hua Tha KHwab-sa KHayal Sa
pahaD jo khaDa hua tha KHwab-sa KHayal sa
bikhar gaya hai raste mein gard-e-mah-o-sal sa
nazar ka farq kahiye is ko hijr hai visal sa
uruj kah rahe hain jis ko hai wahi zawal sa
tumhaara lafz sach ka sath de saka na dur tak
misal jis ki de rahe ho hai wo be-misal sa
KHulus ke hiran ko DhunD kar riya ke shahr mein
mere aziz kar rahe ho tum ajab kamal sa
adawaton ki mauj jis zamin pe bo gai namak
ugega sabza-zar us jagah ye hai muhaal sa
shab-e-visal aaine mein paD gaya shigaf kyun?
hamara dil to saf hai tumhein hai kyun malal sa
'karamat'-e-hazin farar ho ke haal-e-zar se
guzishta ahd se mila to wo laga hai haal sa
(891) Peoples Rate This