Humne Jab Dard Bhari Apni Kahani Likkhi
hum ne jab dard bhari apni kahani likkhi
log kahne lage rudad purani likkhi
main ne ek peD samundar ke jazire se liya
aur chaTTan pe pani ki rawani likkhi
ajnabi tarz liye main nahin aaya hun yahan
dastan apni tumhaari hi zabani likkhi
chashm-e-mahbub ko nargis ka laqab tu ne diya
main ne sheron mein magar raat ki rani likkhi
kaun sa waqt amal ka hai jawani ke siwa?
nind kab aati hai? puchha to jawani likkhi
raat jab aai to din bhar ka fasana likkha
jab chali baad-e-sahar sham suhani likkhi
bagh-e-firdaus ki lori main sunata kaise?
meri qismat mein thi aashufta-bayani likkhi
KHushk tha mera qalam kuchh nahin likh pata tha
likhne baiTha to baDi ram kahani likkhi
tum ne jab harf ko KHwabon ka safar kah Dala
main ne bhi lafz ki tabir-e-maani likkhi
narm-o-nazuk tha 'karamat' tere sheron ka mizaj
waqt paDne pe magar shoala-bayani likkhi
(981) Peoples Rate This