Hath Aa Gaya Hai Jab Se Shuur-e-KHudi Ka Sanp
hath aa gaya hai jab se shuur-e-KHudi ka sanp
sine pe loTta hai gham-e-zindagi ka sanp
apne badan se KHol ana ka utar kar
phunkarta hai sham-o-sahar aagahi ka sanp
main khelta hun us se magar jaanta hun ye
ek din mujhe Dasega nai raushni ka sanp
kyun man ka mor pankh na apne sameT le
aangan mein khelta hai gham-e-ashiqi ka sanp
mauj-e-sarab ka bhi pata dur tak nahin
shiddat se Das raha hai mujhe tishnagi ka sanp
tahzib ka khanDar hai nigahon ke samne
wo rengta hai dekhiye ek KHamushi ka sanp
kyun nilkanTh ban ke na pi jaun us ko main
jo zahr ugal raha hai gham-e-agahi ka sanp
(761) Peoples Rate This