Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai
gulab mange hai ne mahtab mange hai
shuur-e-fan to lahu ki sharab mange hai
wo us ka lutf-o-karam mujh ghariq-e-isyan se
gunah mange hai aur be-hisab mange hai
hawas ki baDh har ek bandh toDna chahe
nazar ka husn magar intiKHab mange hai
kahan ho khoe hue lamho! lauT kar aao
hayat umr-e-guzishta ka bab mange hai
mere kalam mein taus bhi hai shahin bhi
sinan ke sath mera fan rubab mange hai
chaDha raha hai salibon pe hum ko sadiyon se
zamana phir bhi muqaddas kitab mange hai
na jaane kitni ghaTaen uThi hain rahon mein
magar hai pyas ki har dam sarab mange hai
hai zaKHm-KHurda mere dil ka aaina aisa
KHirad ki tegh se thoDi si aab mange hai
wo meri fahm ka leta hai imtihan shayad
ki har sawal se pahle jawab mange hai
bikhar gaya tha jo kal raat kirchiyon ki tarah
meri nigah wo TuTa sa KHwab mange hai
karamat us se jo puchhun ki zindagi kya hai
jawab dene ke badle hubab mange hai
(767) Peoples Rate This