Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b91320b723f5d1ecda787314007a14de, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ka Har Ek ZaKHm Gahra Hai - Karamat Ali Karamat Poetry In English - Darsaal

Dil Ka Har Ek ZaKHm Gahra Hai

dil ka har ek zaKHm gahra hai

is se har waqt KHun rista hai

dam liya hum ne gham ke sae mein

warna har samt KHushk sahra hai

us ko kis tarah main bhula deta

jis ka har dam KHayal aata hai

bujh gaya jab se apne dil ka charagh

chandni ka bhi rang phika hai

ek sahaara mila hai gham ka hamein

warna duniya mein kaun kis ka hai

yun to kaunain mere samne hain

kaun meri nazar mein tujh sa hai

ye batae koi 'karamat' se

muKHtalif sab se us ka lahja hai

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ka Har Ek ZaKHm Gahra Hai In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Dil Ka Har Ek ZaKHm Gahra Hai is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Dil Ka Har Ek ZaKHm Gahra Hai for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Dil Ka Har Ek ZaKHm Gahra Hai in PDF.