Ishq Ki Duniya Mein Kya Kya Hum Ko Saughaten Milin
ishq ki duniya mein kya kya hum ko saughaten milin
suni subhen roti shamen jagti raaten milin
ya barasti dhup mein tapte sulagte din mile
ya rida-e-dard mein lipTi hui raaten milin
kuchh sabahat kuchh malahat thi nasib-e-ashiqan
aansuon ke rang mein namkin barsaten milin
gah ujaD jaane ka matam gah bichhaD jaane ka shor
dil ke andar jab milin nauhon ki baraaten milin
khokhle chehron pe sim-o-zar ki thin aaraishen
ahl-e-mani ko magar lafzon ki KHairaaten milin
khelne wale to bas das bis shatranji rahe
dekhne walon ko shah-maton pe shah-maten milin
zalzale aae to jo paikar the sang-o-KHisht ke
un ke honTon par duaen aur munajaten milin
ishq ko fikr-o-shuur-e-zindagi darkar tha
aur use na-puKHta zehnon ki karamaten milin
hum unhi ko sher ka qalib ata karte rahe
be-sada honTon pe jo bikhri hui baaten milin
kis tarah kahte 'karam' duniya se apne dil ka haal
doston se bhi adhuri si mulaqaten milin
(738) Peoples Rate This