Main Dasht-e-zindagi Ko Chala Tha Nikhaarne
main dasht-e-zindagi ko chala tha nikhaarne
ek qahqaha lagaya guzarti bahaar ne
guzra hun jab sulagte hue naqsh chhoDta
dekha hai mujh ko ghaur se har rahguzar ne
mai-kash ne jam-e-zahr hi munh se laga liya
pagal bana diya jo nashe ke utar ne
insan hadd-e-nur se aage nikal gaya
chhoDa magar na us ko lahu ki pukar ne
un mah-ruKHon ki hum se jo ye be-ruKHi rahi
jaana paDega chand pe kuchh din guzarne
karte hain wo sitare bhi ab mujh pe chashmaken
chamka diya jinhen meri shab-ha-e-tar ne
un gul-kadon ko bhi koi ai kash dekhta
jhulsa hai jin ko aatish-e-fasl-e-bahaar ne
laun kahan se un ke liye aur gham-gusar
jo gham diye hain mujh ko mere gham-gusar ne
meri sarisht mein thi mohabbat ki parwarish
mujh ko qalam diya mere parwardigar ne
baKHsha hai apne husn ka partaw mujhe 'karam'
fitrat ke har jamil-o-hasin shahkar ne
(632) Peoples Rate This