Hum Kis Shab-e-siyah Ke Daman Mein Bas Gae
hum kis shab-e-siyah ke daman mein bas gae
teri ziya-e-ruKH ko dil-o-jaan taras gae
murjha rahi hain apni umangon ki konplen
baadal na jaane kaun si jaanib baras gae
ujDe the dil so ujDe hue hain kuchh aur bhi
kya kya na warna kucha-o-bazar bas gae
aawargan-e-shauq ne manzil na ki qubul
gulshan ka dar khula to wo su-e-qafas gae
hai hijr-e-dostan bhi karam dard-e-jaan-faza
aankhon mein jo base the wo ab dil mein bas gae
(708) Peoples Rate This