Ba-qadr-e-shauq Nahin Lutf-e-mahfil-arai
ba-qadr-e-shauq nahin lutf-e-mahfil-arai
shadid-tar hai sar-e-bazm apni tanhai
kahan wo shoala-nawai kahan ye KHamoshi
badal gae hain zamane ki tere saudai
meri fughan ko to samjhenge log mera junun
tera sukut na ban jae wajh-e-ruswai
sadaf sadaf hai shikar-e-talatum-e-dariya
kisi guhar mein to paida ho shan-e-yaktai
na fikr-o-hosh na qalb-o-nazar na zarf-o-zamir
naya jahan hai nai KHusrawi-o-darai
charagh-e-rah-e-mohabbat thi KHak-e-ahl-e-wafa
qadam qadam pe 'karam' raushni nazar aai
(967) Peoples Rate This