Shama Ki Lau Se Khelte Dekhe Hain Maine Parwane Do
shama ki lau se khelte dekhe hain main ne parwane do
ek to maut se khel raha hai ek kahta hai jaane do
mere badan par tum barsao pyar ki shabnam husn ki aag
yun ghul-mil kar ek nazar se hum paDh len afsane do
jin par jaan luTa di main ne wo hi mujh se barham hain
rone par pabandi hai to qahqaha ek lagane do
tum ne pilai jitni pilai dekho hain pyase rind abhi
saqi-gari se hath na khincho sab ki dua lo aane do
mai se main tauba kar lunga ye lo meri tauba hai
pahle mere hathon mein apni aankhon ke mai-KHane do
us ka kaam hai kahta rahna apna kaam hai sun lena
waiz bhi apna hai 'kanwal' tum waz use farmane do
(645) Peoples Rate This