Zamane Ko Lahu Pine Ki Lat Hai
zamane ko lahu pine ki lat hai
magar phir bhi yahan sab KHairiyat hai
hamari shaKHsiyat kya shaKHsiyat hai
har ek tewar dikhawe ki parat hai
hamara ghar bahut chhoTa hai lekin
hamara ghar hamari saltanat hai
ye qatra KHun ka dariya banega
abhi insan zer-e-tarbiyat hai
taaruf hum se apni zat ka bhi
abhi ahl-e-karam ki marifat hai
likhe hain git barsaton ke jis par
hamare ghar pe us kaghaz ki chhat hai
meri aankhon mein talKHi us jahan ki
tere chehre pe KHauf-e-aqibat hai
(754) Peoples Rate This