Bhagwan Krishn Ki Taswir Dekh Kar
mujhe tere tasawwur se KHushi mahsus hoti hai
dil-e-murda mein bhi kuchh zindagi mahsus hoti hai
ye taron ki chamak mein hai na phulon hi ki KHushbu mein
teri taswir mein jo dilkashi mahsus hoti hai
tujhe main aaj tak masruf-e-dars-o-waz pata hun
teri hasti mukammal aagahi mahsus hoti hai
ye kya mumkin nahin tu aa ke KHud ab is ka darman kar
faza-e-dahr mein kuchh barhami mahsus hoti hai
ujala sa ujala hai teri sham-e-hidayat ka
shab-e-tira mein bhi ek raushni mahsus hoti hai
main aaun bhi to kya munh le ke aaun samne tere
KHud apne-ap se sharmindagi mahsus hoti hai
taKHayyul mein tere nazdik jab main KHud ko pata hun
mujhe us waqt ik-tarfa KHushi mahsus hoti hai
tu hi jaane kahan le aai mujh ko aarzu teri
ye manzil ab sarapa be-KHudi mahsus hoti hai
'kanwal' jis waqt kho jata hun main us ke tasawwur mein
mujhe to zindagi hi zindagi mahsus hoti hai
(668) Peoples Rate This