Hae Bapu Teri Duhai Hai
KHu-e-azad jis ne pai hai
us ke qabze mein kul KHudai hai
un se main bhi ye baat kahta hun
jin ki taqdir mein burai hai
apne mazi pe Dal lo nazren
kis qadar kis ne ki bhalai hai
baat aai zaban pe kahta hun
ye to bandon hi ki KHudai hai
rok kar gala kar rahe hain black
qaht ki har taraf dahai hai
kitne Theke mein ab ki bar bache
kitni rishwat ki daulat aai hai
apne apnon ko puchhta hai har ek
ahl-e-taqat hi ki ban aai hai
gar minister hai aap ka sala
to collector bana jamai hai
hai jo engineer sifarish se
phir to Theke mein is ka bhai hai
KHauf hai kis ka raj hai apna
apna hi sara aana-pai hai
rozi aur rozgar hain un ke
hum gharibon ka haq gadai hai
in ka zariya hai ye kamane ka
dekhne hi ki parsai hai
kis se ja kar 'kanwal' kare fariyaad
hae bapu teri duhai hai
aaj phir se august aaya hai
sab ke ghar mein KHushi hi chhai hai
sal-e-ainda ke kamane ko
tum ne scheme kya banai hai
(987) Peoples Rate This