Gandhi-jayanti Par
uThi chaaron taraf se jab ki zulm-o-jabr ki aandhi
payam-e-amn le kar aa gae ruh-e-zaman gandhi
bane hindostan ke waste wo rahbar-e-kaamil
tawassul se unhi ke pai hum ne apni KHud manzil
hui raushan ujale se dayar-e-hind ki wadi
jalai is tarah ki aap ne ek sham-e-azadi
unhi ne jabr se angrez ke hum ko chhuDaya tha
sadaqat ka sharafat ka hamein rasta bataya tha
dikhai rah wo hum ko jo gautam ne dikhai thi
batai baat wo phir se jo isa ne batai thi
uKHuwwat ke wo dariya the mohabbat ke wo sahil the
ahinsa ke wo dai the wo yak-jehti ke qail the
sabaq phir se paDhaya tha jahan-bhar ko bhalai ka
zamana aaj bhi mashkur hai us haq ke dai ka
gharibon ki nahifon ki hamesha dast-giri ki
na parwa ki musibat ki na parwa ki asiri ki
hamare dil munawwar kar diye nur-e-mohabbat se
hue aagah ahl-e-dahr ramz-e-adamiyat se
watan ke aasman par ek raKHshanda sitare the
hamein ye faKHr hai ahl-e-jahan gandhi hamare the
(984) Peoples Rate This