Diwali Aai
chaar jaanib hai yahi shor diwali aai
sal-e-mazi ki tarah lai hai KHushiyan imsal
yun to har shaKHs masarrat se khila jata hai
phir bhi bachche hue jate hain KHushi se behaal
har bashar mahw hai is jashn ki tayyari mein
taki KHushiyon ka qamar aur ziya-baKHsh hai
kar rahe hain sabhi mil-jul ke safai ghar ki
un ki koshish hai ki tabinda har ek naqsh bane
utar aae hain zamin par bhi falak se tare
daman-e-charKH mein ai dosto kya rakkha hai
rashk-aflak nazar aati hai har ek basti
aaj dharti ko bhi aakash bana rakkha hai
saf-shaffaf chamakte hue pur-nur makan
sehn-e-gulshan mein khile jaise hon rangin gulab
jhil mein tairte hon nur se mamur kanwal
ya utar aae hon gardun se hazaron mahtab
mujh ko bhati nahin wallah main sach kahta hun
zahiri aur dikhawe ki sajawaT yaro
jab ki aazad hain sab mulk bhi apna aazad
mujh ko achchhi nahin lagti hai banawaT ab to
hum ne ajdad ki aadat bhula rakkhi hain
un ki nazron mein to har qaum barabar thi kanwal
wo samajhte the har ek qaum ko apna bhai
un ki is baat ke shahid hain abhi dasht-o-jabal
dasht mein ram ne shabri ki ziyafat khai
bhilni ke yahan khane mein bhi inkar na tha
kya bataenge ye arbab-e-KHirad ab mujh ko
ghair sugriw shri-ram ka kya yar na tha
ram ki fauj mein har qaum ke afrad na the
kya hanuman na the fauj ki un ki salar
main karun us ki shikayat to nahin hai beja
kya tumhein aaj haqiqat mein hai ajdad se pyar
kya tumhein chhut ka ye dars buzurgon ne diya
kya tumhein firqa-parasti ki ijazat di thi
ram ke manne walo kabhi itna socha
kya buzurgon ne kisi qaum se nafrat ki thi
mera kahna hai yahi hind ke bashindon se
qalb ki apne safai karo pahle yaro
dil mein nafrat ki siyahi ki jo aamezish hai
aab-e-ulfat se dhulai karo pahle yaro
ab to ulfat ke charaghon ko jala kar pahle
ghar mein har ek ke nai jot jagana hai tumhein
nur-e-ulfat se sajaana hai nae bhaarat ko
mil ke tyauhaar diwali ka manana hai tumhein
mujh ko KHwahish hai usi shan ki diwali ki
laxmi desh mein ulfat ki shab-o-roz rahe
desh ko pyar se mehnat se sanwaren mil kar
ahl-e-bhaarat ke dilon mein ye 'kanwal' soz rahe
(891) Peoples Rate This