Aisi Manaen Holi
ho ke sarshaar bahut ishq se gaen holi
ek nae rang se apnon ko sunaen holi
le ke aai hai ajab mast adaen holi
mulk mein aaj nae ruKH se dikhaen holi
aaj har shaKHs ko deti hai sadaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
mulk se firqa-parasti ko haTa hi Dalo
dair-o-kaba ke tafarqe ko miTa hi Dalo
hind ko desh mohabbat ka bana hi Dalo
ye naya git zamane ko suna hi Dalo
Dal de mulk mein ulfat ki binaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
jo mohabbat ke buzurgon ne jalae the diye
pap ki tez hawaon se wo ab bujhne lage
aaj parhalad ke bhi honT nahin kyun hilte
har taraf pujne wale hain kanwal kashyap ke
kash ban jae gunahon ki chitaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
har taraf bahne lage amn-o-sukun ka dariya
kash aa jae buzurgon ka samay guzra hua
rang hum sab ko badalna hai agar bhaarat ka
aapsi phuT se hai desh ko phir se KHatra
hum ko lazim hai ki nafrat ki jalaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
apne bhaarat se gharibi ko miTana hai hamein
apni mehnat se nae daur ko lana hai hamein
desh mein naj ka ambar lagana hai hamein
kar-KHanon mein har ek chiz banana hai hamein
saz-e-mehnat pe nae tarz se gaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
hind ko aaj mohabbat ki zarurat hai 'kanwal'
aaj har shaKHs ko ulfat ki zarurat hai 'kanwal'
ab kisanon ko bhi himmat ki zarurat hai 'kanwal'
mulk ko ab isi daulat ki zarurat hai 'kanwal'
de rahi hai yahi har ek ko sadaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
(794) Peoples Rate This