Tajjub Ye Nahin Hai Gham Ke Maron Ko Na Chain Aaya
tajjub ye nahin hai gham ke maron ko na chain aaya
taDapna dekh kar mera sitaron ko na chain aaya
baDhi be-tabi-e-dil jab to bahne hi lage aansu
mere ham-rah in pinhan sitaron ko na chain aaya
rahe gardish mein sari raat meri be-qarari par
baDe hamdard nikle chand taron ko na chain aaya
hamare aashiyan tak baat rah jati to achchha tha
jala jab tak na sab gulshan shararon ko na chain aaya
koi be-KHud hua be-tab ho kar rah gaya koi
naqab-e-husn uThne par hazaron ko na chain aaya
zamane ke taghayyur ne kiya barbaad gulshan ko
KHizaon ko na chain aaya bahaaron ko na chain aaya
thapeDe un ko bhi khane paDe amwaj tufan ke
meri kashti ke bais hi kinaron ko na chain aaya
gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-uqba gham-e-duniya
'kanwal' is zindagi mein gham ke maron ko na chain aaya
(858) Peoples Rate This