Na Ghum Dasht Mein Tu Sehn-e-gulistan Se Guzar
na ghum dasht mein tu sehn-e-gulsitan se guzar
jo chahta hai bulandi to kahkashan se guzar
zamin ko chhoD ke nadan na aasman se guzar
zarurat is ki hai to un ke aastan se guzar
isi se teri ibaadat pe rang aaega
jabin jhukana hua un ke aastan se guzar
hai asliyat hai KHizan hi bahaar ki tamhid
bahaar chahe to andesha-e-KHizan se guzar
wafa ki rah mein dar o salib aate hain
zarurat is ki hai har ek imtihan se guzar
'kanwal' KHushi ki hua karti hai yunhi takmil
gham-e-hayat ke har bahr-e-be-karan se guzar
(787) Peoples Rate This