Gham Ka Izhaar Bhi Karne Nahin Deti Duniya
gham ka izhaar bhi karne nahin deti duniya
aur marta hun to marne nahin deti duniya
sab hi mai-KHana-e-hasti se piya karte hain
mujh ko ek jam bhi bharne nahin deti duniya
aastan par tere hum sar ko jhuka to lete
sar se ye bojh utarne nahin deti duniya
hum kabhi dair ke talib hain kabhi kaba ke
ek markaz pe Thaharne nahin deti duniya
bijliyon se jo bachata hun nasheman apna
mujh ko aisa bhi to karne nahin deti duniya
mundamil hone pe aaen to chhiDakti hai namak
zaKHm dil ke mere bharne nahin deti duniya
meri koshish hai mohabbat se kinara kar lun
lekin aisa bhi to karne nahin deti duniya
dene walon ko hai duniya se baghawat lazim
dene walon ko ubharne nahin deti duniya
jis ne buniyaad gulistan ki kabhi Dali thi
us ko gulshan se guzarne nahin deti duniya
ghuT ke mar jaun ye KHwahish hai zamane ki 'kanwal'
aah bharta hun to bharne nahin deti duniya
(878) Peoples Rate This