Ye Kis Ne Dal KanTon Ki Qarib-e-ashiyan Rakh Di
ye kis ne Dal kanTon ki qarib-e-ashiyan rakh di
kahan ki chiz thi nadan ne dekho kahan rakh di
ab is diwangi par kyun na ware jaen hum yaro
ki jis ne KHar ke munh mein shagufe ki zaban rakh di
zamane ki nazar mein KHar-o-KHas the chaar tinke the
unhin par dil ke kari-gar ne buniyaad-e-jahan rakh di
hum apni be-KHudi mein ghar ka naqsha bhul baiThe hain
kahan hai taq-e-nisyan jis pe tashwish-e-ziyan rakh di
hamare ishq ke charche zamane bhar mein hote the
ye kis ne dushmani aaKHir hamare darmiyan rakh di
karam kafi tha tere 'soz' ke barbaad karne ko
sitam ke hath mein talwar kyun a jaan-e-jaan rakh di
(742) Peoples Rate This