Marka KHatm Hua Jang Abhi Jari Hai
marka KHatm hua jang abhi jari hai
dil ki manen ki KHirad ki yahi dushwari hai
koi patta nahin hilta hai na khulti hai zaban
aah phir se kisi tufan ki tayyari hai
kyun na ye dekh ke binai dagha de jae
shams par bhi abhi zulmat ka fusun tari hai
ab ye hasrat bhi liye jate hain dil ki dil mein
ye to kah lete tera tir bahut kari hai
hae kam-zarfi-e-dil tu ne kahin ka na rakha
aah ne kah diya tazir bahut bhaari hai
tere mashkur hain hamdam kiya wazeh tu ne
feal-e-ghaarat-gari sayyaad ki na-chaari hai
waqt-e-furqat ye karam 'soz' pe barpa kar de
hans ke kah de ki ye inam-e-wafadari hai
(917) Peoples Rate This