Mai Pite Hain Din Raat Piya Jae Hai Kuchh Aur
mai pite hain din raat piya jae hai kuchh aur
sunte hain ki aise mein kiya jae hai kuchh aur
gar KHauf nahin hai to koi zabt hai yaro
dil kahta hai kuchh aur kaha jae hai kuchh aur
asbab mera dekh ke hansne lage ahbab
kya waqt-e-safar sath liya jae hai kuchh aur
manzil hai bahut pas bahut pas bahut pas
ab dekhiye kis kis se chala jae hai kuchh aur
kaise kahen ab lutf se baz aaiye sahab
har bar ka ehsan hila jae hai kuchh aur
wazeh nahin hai us pe abhi harf-e-mukarrar
kuchh aur miTata hai miTa jae hai kuchh aur
kuchh dur se dekho to zamin rashk-e-jinan hai
phir pas se dekho to nazar aae hai kuchh aur
(622) Peoples Rate This