Aankh Kholi Hai To Ye Dekh Ke Pachhtae Hain
aankh kholi hai to ye dekh ke pachhtae hain
log ghazlon se bahut dur nikal aae hain
wo jo dukh sahte the uf tak bhi nahin karte the
aaj saf bandh ke maidan mein utar aae hain
KHun hi KHun nazar aata hai ta-hadd-e-nazar
kis ke naqsh-e-kaf-e-pa arsh pe lahrae hain
aaj ye soch ke larzan hai jafa-ju ka ghurur
qumqume kis liye dharti pe utar aae hain
kaamran hone ka ushshaq ko dete hain payam
ye KHat-o-KHal jo kohre se ubhar aae hain
kal talak shaiKH gurezan bhi the bezar bhi the
aaj kuchh baat hai jo 'soz' ke ghar aae hain
(774) Peoples Rate This