Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_anb927ufq1uv0qm7dbc5jvol11, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nazar Tak Aaya Hai Pahchan Tak Nahin Aaya - Kamran Nadeem Poetry In English - Darsaal

Nazar Tak Aaya Hai Pahchan Tak Nahin Aaya

nazar tak aaya hai pahchan tak nahin aaya

ye wahima abhi imkan tak nahin aaya

jarahat-e-gham-e-dauran ki ibtida kahiye

dil-e-jahan-zada paikan tak nahin aaya

wo aur baat ki jaan ki aman mangi thi

main us ki baiat-o-paikan tak nahin aaya

bas us ke lams ka ilham hi utarta hai

wo mere mushaf-e-wijdan tak nahin aaya

ye zindagi to nafi mein guzar di main ne

par us ke halqa-e-mizan tak nahin aaya

kitab-e-husn ki tabir KHair kya karta

'nadim' aaina unwan tak nahin aaya

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Tak Aaya Hai Pahchan Tak Nahin Aaya In English By Famous Poet Kamran Nadeem. Nazar Tak Aaya Hai Pahchan Tak Nahin Aaya is written by Kamran Nadeem. Read famous Poem Nazar Tak Aaya Hai Pahchan Tak Nahin Aaya for youth and Student by Kamran Nadeem. Free Download Nazar Tak Aaya Hai Pahchan Tak Nahin Aaya in PDF.