Nazar Aata Hai UThta Jaan Se Dil Se Dhuan Mujhko
nazar aata hai uThta jaan se dil se dhuan mujh ko
dayar-e-ishq mein rahna hai ek bar-e-garan mujh ko
sitam-pesha mere afsana-e-gham ko nahin sunta
so kahna hai ba-andaz-e-hadis-e-digaran mujh ko
sawad-e-sham hai jalte hue KHemon ka manzar hai
yahin aawaz deti hai koi nok-e-sinan mujh ko
meri mauj-e-rawan ki sab rawani KHatm kar dega
bana dega wo har unwan-e-umr-e-raegan mujh ko
hamesha dur se wo imtihan-e-shauq karta hai
kabhi pahlu mein bhi biThlae yar-e-mehrban mujh ko
bharam rakhna hai kuchh to izzat-e-sadat ka aaKHir
ki ab hone lagi hain ishq mein ruswaiyan mujh ko
mata-e-naqd-e-jaan KHud rahzan ki nazr kar deta
agar main jaanna lauTega mir-e-karwan mujh ko
suna aashob-e-wahshat aur fishaar-e-zat ka naghma
'nadim' ab karwan-e-dard le aaya kahan mujh ko
(815) Peoples Rate This