Ilzam-e-tirgi Ke Sada Us Pe Aae Hain
ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain
jis ne charagh apne lahu se jalae hain
shayad use hamari ana ka guman na tha
hum tishnagi paTak ke samundar se aae hain
ye dilkashi subut hai ai jaan-e-shairi
phulon ne rang tere labon se churae hain
hairan hai wo bhi wusat-e-parwaz dekh kar
jis ne hamari fikr par pahre biThae hain
tark-e-talluqat pe wo bhi the gham-zada
aur hum bhi apni zat se jang haar aae hain
ab nam kya bataun ki gham kis ka hai 'saba'
aankhen meri zarur hain aansu parae hain
(719) Peoples Rate This