Hota Agar Dabiz Junun-e-safar Ka Rang
hota agar dabiz junun-e-safar ka rang
KHud hi utarne lagta rah-e-pur-KHatar ka rang
suraj ghurub hote hue mujh se kah gaya
kuchh to bata ki kaisa hai KHun-e-jigar ka rang
ai ahliyan-e-amn-o-aKHuwat main kya kahun
kis darja surKH hai tere diwar-o-dar ka rang
mana ki lab KHamosh the aankhen to chup na thin
sab raaz fash kar gaya teri nazar ka rang
han ai amir-e-shahr zara aankh to mila
tujh ko bataun kya hai ruKH-e-mo'atabar ka rang
main aasman oDh ke soya raha 'saba'
ghurbat pe meri hansta raha shab qamar ka rang
(635) Peoples Rate This