Gham-e-hayat Ko Likkha Kitab Ki Manind
gham-e-hayat ko likkha kitab ki manind
aur ek nam ki hai intisab ki manind
na jaane kah diya kis be-KHudi mein saqi ne
surur-e-tishna-labi hai sharab ki manind
bahut qarib se dekha to inkishaf hua
wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind
mera sawal ki kis ne mujhe tabah kiya
tera sukut mukammal jawab ki manind
main apni aankhon ko rakhta hun ba-wazu har-dam
ki tera zikr muqaddas kitab ki manind
mujhe aziz hain KHwabon ki kirchiyan bhi 'saba'
kisi nigah mein hongi azab ki manind
(958) Peoples Rate This