Junun Ki Aabiyari Kar Raha Hun
junun ki aabiyari kar raha hun
main wahshat KHud pe tari kar raha hun
chhupa kar zaKHm apne qahqahon mein
ghamon ki parda-dari kar raha hun
ye duniya hai bhala kab mera maskan
yahan to shab-guzari kar raha hun
haqiqat mein ye ek banjar zamin thi
main jis par kasht-kari kar raha hun
zamin do-gaz nahin hai pas aur main
falak par dawe-dari kar raha hun
badan KHud ho raha hai mera zaKHmi
main kis par sang-bari kar raha hun
inhi amraaz mein KHud hun mulawwis
main fatwe jin pe jari kar raha hun
falak wale to honge hi muKHalif
zamin walon se yari kar raha hun
kahan tum bhi ibaadat kar rahe ho
agar main duniya-dari kar raha hun
moattar hai badan KHushbu se mera
gulon ki aabiyari kar raha hun
ye mana KHak ka zarra hun 'adil'
hawaon par sawari kar raha hun
(921) Peoples Rate This