Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c03aeccc11377f34335089387ef10009, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Zamana Kahin Mujhse Na Chura Le Mujhko - Kamil Bahzadi Poetry In English - Darsaal

Ye Zamana Kahin Mujhse Na Chura Le Mujhko

ye zamana kahin mujh se na chura le mujh ko

koi is aalam-e-dahshat se bacha le mujh ko

main isi KHak se niklunga sharara ban kar

log to kar gae miTTi ke hawale mujh ko

koi jugnu koi tara na ujala dega

rah dikhlaenge ye panw ke chhaale mujh ko

un charaghon mein nahin hun ki jo bujh jate hain

jis ka ji chahe hawaon mein jala le mujh ko

dard ki aanch baDhegi to pighal jaunga

apne aanchal mein koi aa ke chhupa le mujh ko

is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain

ab to chubhne lage aankhon mein ujale mujh ko

tazkira mera kitabon mein rahega 'kaamil'

bhul jaenge mere chahne wale mujh ko

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zamana Kahin Mujhse Na Chura Le Mujhko In English By Famous Poet Kamil Bahzadi. Ye Zamana Kahin Mujhse Na Chura Le Mujhko is written by Kamil Bahzadi. Read famous Poem Ye Zamana Kahin Mujhse Na Chura Le Mujhko for youth and Student by Kamil Bahzadi. Free Download Ye Zamana Kahin Mujhse Na Chura Le Mujhko in PDF.