Saya-e-zulf Nahin Shola-e-ruKHsar Nahin
saya-e-zulf nahin shola-e-ruKHsar nahin
kya tere shahr mein sarmaya-e-didar nahin
waqt paD jae to jaan se bhi guzar jaenge
hum diwane hain mohabbat ke adakar nahin
kya tere shahr ke insan hain patthar ki tarah
koi naghma koi payal koi jhankar nahin
kis liye apni KHataon pe rahen sharminda
hum KHuda ke hain zamane ke gunahgar nahin
surKH-ru ho ke nikalna to bahut mushkil hai
dast-e-qatil mein yahan saz hai talwar nahin
mol kya zaKHm-e-dil-o-jaan ka milega 'kaamil'
shaKH-e-gul ka bhi yahan koi KHaridar nahin
(1173) Peoples Rate This