Ruton Ke Rang Badalte Hue Bhi Banjar Hai
ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai
wo ek KHas ilaqa jo dil ke andar hai
ghaDi ghaDi meri aaankhon mein uD rahi hai dhul
sadi sadi ka meri rah mein samundar hai
bujha bujha hua rahta hun apne KHwabon mein
dhuan dhuan sa mere jagne ka manzar hai
ajib KHwab sa dekha ki pure dariya mein
koi jahaz kahin hai na koi langar hai
badan pe TuT bikharne ko hai kahin na kahin
hiras-o-KHauf ka saya jo mere sar par hai
main kis ki khoj mein yun hi bita raha hun janm
chhupa hua mere sae mein kis ka paikar hai
suna rahi hai hawa apne hi safar-name
ajib shor ghane jangalon ke andar hai
(740) Peoples Rate This